Wednesday, August 4, 2010
Commonwealth games mein badhta bhrashtachar
Aaj main isi topic pe apne vichar likh raha hoon.mere man mein yeh sab likhne ka vichar isliye aaya kyunki main apne desh ko bahut pyar karta hoon.Keh sakte hain "I LOVE MY INDIA".Per yahan ke raajneta itne bhrasht ho gaye hain ki Desh ki ijjat se he khilwaad kar rahe hain.Aur Commonwealth games ko doobane mein jute hain.Indian Olympic Association ke Adhyaksh Suresh Kalmadi ne apne chhateon ko Fayda pahunchane k liye unhe theka dilvaya.Aur unhone ek travel Company ko bhi fayeda pahunchaya.Aur desh ke na jaane kitne crore rupees black mein chale gaye.Unhe to sirf apna sawarth dikha hai.Aur janta ki isi udehrbun mein ki commonwealth kaise honge,Raajneta is per apni raajnitik rotiyan sekne mein lage hain.Delhi mein Baarish ky aayi,saare raaston per baadh jaise haalat ho gaye aur kai jagah paani bharne se makaanon ko nuksaan hua.Aur J.L.N stadium ki Chhat tak tapakne lagi.Is Mudde per Media ne jab newspapers aur T.V ke madhyam se sarkaar ko jagrit kiya to Suresh kalmadi ne kaha ki "ALL IZ WELL".Parantu kuch bhi sahi nahin tha.Stadium mein paani bhar gaya tha.jiske kaaran kaam ruk gaya.Pehle he kaam late chal raha hai,isse aur bhi late ho gaya.
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
1 comment:
This is a fucking blog....Don't you have sense that what kind of blog would be better to the people..............Just fuckin' !!
Post a Comment